Sunday, August 17, 2014

Uljhan kyun

Kyun itni uljhan mein hai 
Kya hai jo pana chahta hai
Jindgi do din ki hai bande
Kyun na hus bol kar gujaar li jai

Aisi bhag daud kyun
Jo apne ko bhula de
Aisi jaddo jehat kyun
Jo apno ko apno se juda kar de

kya antt hai pata hai tujhe
To kyun yeh daga yeh dokhe
Chahe to tu kar sakta hai
Kyun na tu apne aap ko rokke

Ja soch fir ek pal
Baith kar
Sambhalkar
Jeele is jindgi ko tu banda ban kar

Friday, August 15, 2014

Happy Independence Day!!

Do your bit.
Do not split.
Alone every person is weak.
Together you can work and speak.
Work hard and smile.
With peace you can cover a mile.
Live and let live.
Forget and forgive.

Thursday, August 14, 2014

Prayer



Andheron mein guum hain
Woh aaj bhi
Jo shikayat kal bhi karte the
Aur shikayat karte hain woh aaj bhi

Au maalik tu apni nazar un par bhi kar
Bande sab tere hain
Yeh iltiza hum kal bhi karte the
Aur yahi iltiza karte hain hum aaj bhi


Wednesday, August 13, 2014

Uska sabkuch

Uski shakti
Uski bhakti
Uska pyaar
Uska sansaar
Uski mahima
Uski pehchaan
Uska sabkuch
Uska bakhan
Uski kudrat
Uski taqat
Uska bhajan
Uska gungan
Yahan tera kuch nahin
Na kuch yahan par mera hai
Sab uski kudrat hai
Uska yeh jahan hai

Wednesday, August 6, 2014

Kuch Khaas

Kuch khaas hota hai sab mein
Parakh lo aur pehchaan karo
Alag hain sab hum to kya fir
Mil ke hi to jahan banta hai

Kuch tum karo kuch hum karein
Us mukaam ko anjaam dein
Har pal ka mehatv hota hai
Ek ek boond saagar bhare

Tuesday, August 5, 2014

Khuda se dua

Mann shant rahe ekant mein
Halchal mein bhi shant rahe mann
Yahi prarthna karte hain
Din raat har pal

Tik tik karti ghadi ki sui
Aage badti jaati
Apke kiye har pryatn se 
Parivartan lati 

Kartey hum wahin hain
Jo uska rachaya hai
Sochte hain
Wah kya naam kamaya hai

Kisiko neecha dikhana nahin
Woh bhi insaan hai
Ussne to apna karm karna hai
Tumne apna karm karna hai

Monday, August 4, 2014

Zikr Khuda ka

Zikr karo us khuda ka har lamhe mein
Usne socha hai sab tumhare liye
Shukriya ada karo uska har lamhe mein
Usne socha hai behtar tumhare liye

Karna to hai yahi bas
Fir kyun itni yeh jaddo jehad
Pyaar aur izzat do gehne hain 
Jo sabko pehnane hain

Is sab to paane ke liye
praytn tujhe karna hoga
Jo mila hai usse khush hokar
Doosron ke liye jeen hoga

Sunday, August 3, 2014

Khuda ko pana hai

Hausla rakh
Abhi to shuruat hai
Khuda itni aasani se nahin milta
Tere karm ustak dastak dete hain
Doori usse kum ya jyada karte hain

Tu bindass ho kar laga uski lagan
Ho ja tu uske naam mein magan
Woh tujhe dastak dega
Rubru tujhse hoga

Yeh mera wada hai
Tu aajma ke dekh
Is shanoshukat ki jindgi mein
Usse yaad kar ke to dekh

Yahi to sangharsh hai
Itni bhagdaud hai
Beete ja raha har pal hai
Nikalna hoga samay tujhe
Garr pana hai us prabhu ko apne

law of attraction