Sunday, August 17, 2014

Uljhan kyun

Kyun itni uljhan mein hai 
Kya hai jo pana chahta hai
Jindgi do din ki hai bande
Kyun na hus bol kar gujaar li jai

Aisi bhag daud kyun
Jo apne ko bhula de
Aisi jaddo jehat kyun
Jo apno ko apno se juda kar de

kya antt hai pata hai tujhe
To kyun yeh daga yeh dokhe
Chahe to tu kar sakta hai
Kyun na tu apne aap ko rokke

Ja soch fir ek pal
Baith kar
Sambhalkar
Jeele is jindgi ko tu banda ban kar

Friday, August 15, 2014

Happy Independence Day!!

Do your bit.
Do not split.
Alone every person is weak.
Together you can work and speak.
Work hard and smile.
With peace you can cover a mile.
Live and let live.
Forget and forgive.

Thursday, August 14, 2014

Prayer



Andheron mein guum hain
Woh aaj bhi
Jo shikayat kal bhi karte the
Aur shikayat karte hain woh aaj bhi

Au maalik tu apni nazar un par bhi kar
Bande sab tere hain
Yeh iltiza hum kal bhi karte the
Aur yahi iltiza karte hain hum aaj bhi


Wednesday, August 13, 2014

Uska sabkuch

Uski shakti
Uski bhakti
Uska pyaar
Uska sansaar
Uski mahima
Uski pehchaan
Uska sabkuch
Uska bakhan
Uski kudrat
Uski taqat
Uska bhajan
Uska gungan
Yahan tera kuch nahin
Na kuch yahan par mera hai
Sab uski kudrat hai
Uska yeh jahan hai

Wednesday, August 6, 2014

Kuch Khaas

Kuch khaas hota hai sab mein
Parakh lo aur pehchaan karo
Alag hain sab hum to kya fir
Mil ke hi to jahan banta hai

Kuch tum karo kuch hum karein
Us mukaam ko anjaam dein
Har pal ka mehatv hota hai
Ek ek boond saagar bhare

Tuesday, August 5, 2014

Khuda se dua

Mann shant rahe ekant mein
Halchal mein bhi shant rahe mann
Yahi prarthna karte hain
Din raat har pal

Tik tik karti ghadi ki sui
Aage badti jaati
Apke kiye har pryatn se 
Parivartan lati 

Kartey hum wahin hain
Jo uska rachaya hai
Sochte hain
Wah kya naam kamaya hai

Kisiko neecha dikhana nahin
Woh bhi insaan hai
Ussne to apna karm karna hai
Tumne apna karm karna hai

Monday, August 4, 2014

Zikr Khuda ka

Zikr karo us khuda ka har lamhe mein
Usne socha hai sab tumhare liye
Shukriya ada karo uska har lamhe mein
Usne socha hai behtar tumhare liye

Karna to hai yahi bas
Fir kyun itni yeh jaddo jehad
Pyaar aur izzat do gehne hain 
Jo sabko pehnane hain

Is sab to paane ke liye
praytn tujhe karna hoga
Jo mila hai usse khush hokar
Doosron ke liye jeen hoga

Sunday, August 3, 2014

Khuda ko pana hai

Hausla rakh
Abhi to shuruat hai
Khuda itni aasani se nahin milta
Tere karm ustak dastak dete hain
Doori usse kum ya jyada karte hain

Tu bindass ho kar laga uski lagan
Ho ja tu uske naam mein magan
Woh tujhe dastak dega
Rubru tujhse hoga

Yeh mera wada hai
Tu aajma ke dekh
Is shanoshukat ki jindgi mein
Usse yaad kar ke to dekh

Yahi to sangharsh hai
Itni bhagdaud hai
Beete ja raha har pal hai
Nikalna hoga samay tujhe
Garr pana hai us prabhu ko apne

Wednesday, July 30, 2014

Har insaan khuda ka khaas

Khud se pyaar hai gar
to na kisi ko dukhi kar
Har insaan khuda ka ek khaas hai
Jiske mann mein bhi tere jaisi ek aas hai

Kya karega ek aisi pehchaan banakar
Jisko koi yaad bhi na karna chahega
Is jahan se jaane ke baad
Har insaan khuda ka ek khaas hai
Jiske mann mein bhi tere jaisi ek aas hai


Karna hai to kuch unke liye kar
Jo har subah uthkar
Jeete hain kisi aur ke liye
Har insaan khuda ka ek khaas hai
Jiske mann mein bhi tere jaisi ek aas hai

Julm to woh bhi kar raha hai us par
Tu to na kar
Kar sakta hai to kuch accha kar
Har insaan khuda ka ek khaas hai
Jiske mann mein bhi tere jaisi ek aas hai

Tuesday, July 29, 2014

Izazat

Jeewan ke is relle mein
Mein bhi shamil hoon
Mere bhi kuch sapne hain
Main kisko Kahoon
Kabhi haan mile kabhi naa mile
Kabtak yoon nirbhar rahoon

Yeh kar loon, Woh kar loon
Har waqt izzazat loon
Tum to ek naari ho
Tum chupchap raho
Kabhi haan mile kabhi naa mile
Kabtak yoon nirbhar rahoon

Soch tha ki apna bhi ek din aayega
Jab apne nirnay le paaongi
Itne saal beet gaye par aaj bhi wohi
Har waqt izzazat loon
Kabhi haan mile kabhi naa mile
Kabtak yoon nirbhar rahoon

Monday, July 28, 2014

Khamoshi teri taqat

Apni khamoshi ko samajh apni taqat
Teri kabliyat hi teri jubaan hai
Tu kisi se kam nahin
Teri bhi ek pehchaan hai

Kya hua fir
Har war jubaan se nahin jeete jate
Kuch aise bhi hai
Jo khamosh reh kar sab kuch keh jaate



Khuda ka Deedar

Us waqt ka hamein hai ab intzaar
Ki didaar ho jaye us khuda ka
Bahut waqt beet gaya ab
Khud hi khuda se guftgu karte karte

Is duniya mein jodna aur todna
Laga hi rahega
Tum ho ya na ho
Sama bana hi rahega
Jindgi ka rella hai
Jahan har insaan akela hai
Sirf uparwale ka saath hai
Warna insaan to insaan ko dhkelta hi rahega

Sunday, July 27, 2014

Sapne

Har us shaks ko jo shamil hai is jajan mein
Haq hai apne sapno ko saakar karne ka
Agar hausla hai aur Mehnat ka darr nahi
To har manjil aur mukam hasil honge khudbakhud
Sabr ka imtihaan hoga
Kabhi saamna haar se bhi hoga
Tab Hausla tumahra aur mehnat tumahri
Saath degi anjaam tak pahuchane me khudbakhud
Mat ghabra
Sapne bun
Laga le anjaam tak pahunchne
Ki dhun
Yaad rakhna ek hi baat
Khuda ne bheja hai tujhe ek maksad se yahan
Apni har karni ka
Phal bhogega yahan

Monday, July 21, 2014

Soch badlo aur aage bado

Beti aur bahu mein antar
 Rahega nirantar
Tum usko badal nahin sakte
 Kar lo jo bhi mantar

 Ladki ghar baar chodti hai
Apna sochkar ek ghar jodti hai
Sapne bunti hai Haatash hokar unhe khud hi udheti hai

 Jiske saath hai byahi
Usne kadar na jaani
 Taarif tab ki
 jab kathputli ki tarah uski maani

 Jab apni kahi
Tanhai pai
Hui kaha suni
Aur jag rulai

 Nissandeh yahi hai kahani
Kuch keh payin
 Aur kuch reh gayi
Bejuban hi

 Kab tak hoga yeh sab
 Ek din to hoga sawera ab
Pado likho hoshiyar bano
 Apne sapno ka sansaar racho

 Kabil ho samajhdar bano
 Koi darr nahin shuruwat karo
 Har pal jo naya hai
Woh swatch hai khra hai

 Jo jaisa hai Usse waisa hi rehna hai
Tumne himmat rakhni hai
 Aur aage badna hai
 Apne maa pita ke sanskaro ko Rakhna yaad
 Mehnat se na ghabrana
Aur bhagwan se karna fariyaad

Sunday, July 20, 2014

Prayer

Jisko dard ka ahsaas hai
Woh yeh dua kare
Ki kisi aur ko woh dard nasib na ho

 Jisko khushi ka ahsaas hai
 Woh yeh dua kare
 Ki har ek ko khushi mile

 Apna jahan aas pass khush rehne walon se banta hai

Saturday, July 19, 2014

Time with self

Find pleasure in spending sometime with self. You may want to say something to you. That communication with self will be 100% pure. Because that is real you.
The best part of this communication is that you do not need to speak through your mouth and listen through your ears.  It works from within.

Friday, July 18, 2014

Karm

You get for what you do. If you stop doing cause others will get the credit then you will never get anything. Keep on working. "Karmanye Vadhikaraste Ma Phaleshu Kadachana, Ma Karma Phala Hetur Bhurma Tey Sangostva Akarmani" Meaning: Do your duty and be detached from its outcome, do not be driven by the end product, enjoy the process of getting there.

Find a reason to be happy

Let us find one reason to be happy each day. I think its achievable.

Thursday, July 17, 2014

Thank God

Thank you God for every moment. Your power is incredible. There is a purpose behind every act. Thank you for tracking us on the right path. Heal the people who are constantly hurting others for one reason or the other. Only you know the reason for that also.

Wednesday, July 16, 2014

People

Surround yourself with positive people. You will be able to fulfill your purpose on this planet. In any case, sooner or later you have to do your part of job. There is no escape.

Sunday, July 6, 2014

life

Koi aakhiri saans le raha hai Aur koi abhi sapne bun raha hai Kisiko abhi bhi shikayat hai Aur koi jo mila hai uske majje loot raha hai Fark sirf ek ghadi ka hai Kisi ne aana hai aur kisi ne jana hai

Sunday, June 29, 2014

Thanks

Har us rooh ka Jo jindgi ki rah mein juda Shukriya Shukriya Shukriya Kabhi bhool hui Kabhi samajhdari hui Anginat kadam jo aage bade Unse Haquiqat ki pehchaan bani Hum to anjaan the jab aaye the is jahan mein Inhi roohon ki badaulat humse hamari pehchan bani Shukriya uska bhi jisne Haan kaha Shukriya uska bhi jisne naa kaha Kyunki jab haan kaha to haunsle ka ahsaas hua Aur jab naa suna to haunsla khudbakhud hua

Saturday, June 28, 2014

Boond

Main ek boond hoon. Samudra ka andaaza kaise karoon. Isme hi khush hoon ki... Samudra bhi mujh jaisi boondon se bana hai

Friday, June 27, 2014

time

You cannot use the time which has passed away. You cannot use the time in advance which is yet to come. The actual value lies in the current moment.

Thursday, June 26, 2014

life

Life is a cool game of balancing mind and heart. Mind says choice A. Heart says choice B. Making a correct choice takes you to the next level. Play this game in a right way.

Monday, June 23, 2014

u turn

Taking a U turn is good when you know that the path you are travelling is not towards the destination.

Wednesday, June 18, 2014

First step for change

The first step for a change. It is in our range. All is we have to arrange. And manage. Things will happen around. Keeping you busy and sound. Making a correct choice is the only game. That will lead you to Hall of fame.

Sunday, June 8, 2014

People

People who know your worth are those who have travelled through your path. Rest all are always ready for a comment. #life

law of attraction