Sunday, August 17, 2014

Uljhan kyun

Kyun itni uljhan mein hai 
Kya hai jo pana chahta hai
Jindgi do din ki hai bande
Kyun na hus bol kar gujaar li jai

Aisi bhag daud kyun
Jo apne ko bhula de
Aisi jaddo jehat kyun
Jo apno ko apno se juda kar de

kya antt hai pata hai tujhe
To kyun yeh daga yeh dokhe
Chahe to tu kar sakta hai
Kyun na tu apne aap ko rokke

Ja soch fir ek pal
Baith kar
Sambhalkar
Jeele is jindgi ko tu banda ban kar

Friday, August 15, 2014

Happy Independence Day!!

Do your bit.
Do not split.
Alone every person is weak.
Together you can work and speak.
Work hard and smile.
With peace you can cover a mile.
Live and let live.
Forget and forgive.

Thursday, August 14, 2014

Prayer



Andheron mein guum hain
Woh aaj bhi
Jo shikayat kal bhi karte the
Aur shikayat karte hain woh aaj bhi

Au maalik tu apni nazar un par bhi kar
Bande sab tere hain
Yeh iltiza hum kal bhi karte the
Aur yahi iltiza karte hain hum aaj bhi


Wednesday, August 13, 2014

Uska sabkuch

Uski shakti
Uski bhakti
Uska pyaar
Uska sansaar
Uski mahima
Uski pehchaan
Uska sabkuch
Uska bakhan
Uski kudrat
Uski taqat
Uska bhajan
Uska gungan
Yahan tera kuch nahin
Na kuch yahan par mera hai
Sab uski kudrat hai
Uska yeh jahan hai

Wednesday, August 6, 2014

Kuch Khaas

Kuch khaas hota hai sab mein
Parakh lo aur pehchaan karo
Alag hain sab hum to kya fir
Mil ke hi to jahan banta hai

Kuch tum karo kuch hum karein
Us mukaam ko anjaam dein
Har pal ka mehatv hota hai
Ek ek boond saagar bhare

law of attraction